Namaste London
aapki yaad kaise aayegi
aap ye kyun samajh naa pate hain
yaad to sirf unki aati hai
ham kabhi jinko bhool jate hain
ashko mein jaise dhul gaye sab muskurate rang
raste mein thak ke so gayee maasoom si umang
dil hai ki fir bhi khaab sajaane ka shauk hai
paththar pe bhi gulaab ugane ka shauk hai
baraso se yun to ek amaavas ki raat hai
ab isko hausalaa kahun ki zid ki baat hai
dil kahta hai andhere mein bhi raushani to hai
maanaa ki raakh ho gaye ummed ke alaav
is raakh mein bhi aag kahin par dabi to hai
sach to ye hai kusoor apna hai
chaand ko chhune ki tamanna thi
aasmaan ko zameen par maanga
phool chaha ki paththaro pe khile
kaanto mein kee talaash khushboo ki
aarzoo kee ki aag thandak de
barf mein dhoondhate rahe garmi
khaab jo dekha chaaha sach ho jaye
iski hamko sazaa to milni hi thi
sach to ye hai ki kusoor apna hai
jaane kinki talash unki aankho mein thi
aarzoo ke musafir bhatakate rahe
jitne bhi wo chale, utne hi bichh gaye raah mein faasale
khaab manzil the aur manzile khaab thi
raasto se nikalte rahe raaste
jaanke kiske vaaste aarzoo ke musaafir bhatakte rahe
koi purani yaad mera raasta roke mujhse kehti hai
itni jalati dhoop mein yun kab tak ghoomoge
aao chalke beete dino ki chhao mein baithe
us lamhe ki baat kare, ki jisme koi phool khila tha
us lamhe ki baat kare, ki jisme kisi aawaz ki chaandi khanak rahee thi
us lamhe ki baat kare, ki jisme kisi ki nazaro ke moti barase the
koi purani yaad mera raasta roke mujhse kehti hai
itni jalati dhoop mein yun kab tak ghoomoge
un dino jabki tum the yahaan, jindagi jaagi-jaagi si thi
saare mausam bade meharbaan dost the
raaste daawatname the jo manzilon ne likhe the zameen par hamare liye
ped baahen pasaare khade the, ghane chhav ki shaul pahanane ke vaaste
shaam ko sab sitare, bahut muskurate the jab dekhte the hame
aati jaati hawaye koi geet khushbu kaa gaati hui
chhedati thi, guzar jaati thi
aasman pighale neelam ka ek gehera taalaab tha
jisme har raat chand ka ek phool khilta tha aur
pighale neelam ki laharo mein beheta hua
wo hamare dilo ke kinaro ko chhoo leta tha
un dino jab tum the yahaan
Diz iz wat i waz lukinG foR!!!
ashkon ki bundone hume saath diye the tab yuhi.
In hasin nagmon ke shabdon ko jab kabhi,
Dil mein utare chalte gaye humnavi.
Post a Comment